Poetry: Ye sar sar bahti hawayen by Md Azam
- Posted by Umran
- Categories Blog, News & Updates
- Date February 24, 2023
- Comments 0 comment
ye sar sar bahti hawayen
ye tip tip baarish ki boonden
ye mausame baharan jo aayi hai
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
yun hans kar karna baaten teri phir baton men yun muskurana
ye betahasha farmaishen teri aur bin matlab ke rooth jana
ye zulfen teri jo lahrain hain
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
gar udaas hun main to tera yun hansana
khamooshi men meri tera yun gungunana
gar tanha hun main to tera sath rah jana
ab ye jo tanhai aayi hai
aaj phir ek baar mujhe teri yaad aayi hai
narazgi men teri tere rukhsar ka misl gulab yun surkh ho jana
jab taarif karun main teri to tera yun sharmana
ab kia sunayun tujhe aai sath chodne wale
kanon men jo tere qadmon ki sada aayi hai
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
dil shikan hai tu dil todna tera kam hai
jane kitne qatl kiye tune apni nazron se qatil tera nam hai
phans gaya hun main bhi usi jal men jo tune bichai hai
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
dil todna tha to phir lagana hi kiun tha
wiran karni thi basti to phir basana hi kiun tha
karni thi dushmani to dosti nibhana hi kiun tha
teri ab jo ye sachchayi mere samne aayi hai
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
kaha main ki aai khuda kaisi ye teri khudai hai
umr bhar maine jiski saath nibhai hai
janab ki fitrat naqabile bhalai hai
phir bhi tujh se kia kahuna ai mere dil
jo kuchch bhi hua tune hi to karai hai
tune hi to bar bar uski yaad dilai hai
kal dilai thi abhi bhi dilai hai
ab kia kahun main use jakar tuhi bata ki
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
aaj phir ek bar mujhe teri yaad aayi hai
– By Md Azam, Chinese Instructor, UGS